main nari hoon

ek baar nhi kai baar tute kar bikhari hoon,

haan har baar har pal mein hari hoon,

mein nari hoon.

chahe jitni baar tuti hoon lekin-

mein har halat mein sirf muskurai hoon,

haan mein naari hoon.

haan vahi naari jise tum jab marji chaho,

pairoon tale roond dete ho,

jiski ichaoon ko tum jara bhi nhi mool dete ho.

ek pinjre band pakshi se bhi kam jise tum aankte ho,

bhed bakrioon ki tarah jab man chaha hankte ho.

gussa sare jhaan ka tumhara iss par nikalta h,

lekin fir bhi iska chera muskan ke sath ghar se bhar nikalta h.

ranjishen tumhari mein sahti hoon,

sadiyon se chal rahi ritt h ki mein chup rahti hoon.

tumne cha to mein hansti hoon ,

tumne cha to mein rooti hoon,

kyunki mein naari hoon isliye tumhare adhin hoti hoon?

nahi aisa nahi h mein bas pyaar ki bhukhi hooti hoon,

haan bas pyaar aur samman pane ke liye hi to mein ye sab sahti hoon.

mein nari hoon 

bas aaj bhi rakhti apne astitv ki jang jari hoon,

mein kamjoor nahi bas aapni takt se agyani hoon.

mein nari hoon

main nari hoon

Leave a Reply

Your email address will not be published.