KYUNKI VO EK LADKI H

A Girl’s Struggle,

Pta h, khabhi kabhi man karta h ki “m struggle kar rhi hoon” iss line ko m badal kar ye bolna start kar don ki “haan I accept I am a girl”.

Aap log soch rhe honge ki kaisi paglon wali baatein kr rhi h? But sachai to yehi h ki aap kitni bhi koshi karo kitna bhi dikhawa karo ye dikhane ka ya ye jatane ka, ki ladka-ladki barabar h vo kabhi bhi barabar nhi ho sakte. Aap chahe physically consider karo ya mentally, emotionally, socially koi bhi dusra aspect jo aapke dimag m aaye. Girls are not same as of a boy.

Aapke sath kuch baaten share karti hoon ek 8 saal ki ladki ki.

Ladki ki family well educated, well settled thi. Ladki apni extended family se milne har baar ki tarah iss baar bhi garmiyon ki chutiyon m apne ghaon gayi thi. Lekin iss baar khuch aisa hua ki vo roti hui apni maa ke pass gayi or boli “maa m agli baar ghaon nhi aaungi apni sari chutti mujhe akele bittana manjoor h par yahan vapis aana nhi” . Maa ne pucha “kya hua ?”, to ladki ne rote rote btaya ki uske dadaji ne uski badhti lambai ko dekhte hue tipni ki h ki “ek sath do classes mein padhlo taki hum tumhari shadi jaldi kara saken” . Atpata h na ek sath do classes!

Darasal baat ye h uske dadaji ye baat bakhubi jante the ki uske maa-papa bina uski padhai puri hue uski shadi karayenge nhi, aur ghaon m shaadi ke liye umar nhi lambai dekhi jati h. Aur vo pichle kuch samay se aapni lambai ko lekar kafi kuch sun rhi thi lekin tab usne un baton ko dil par nhi lgaya kyun ki  vo baaten bolne vale uske aapne nhi the lekin jab uske dada ji ne ye baat boli to uske dil par tehs lagi. Ji dikat kuch nhi thi siwaye isske ki us ladki ki lambai itni thi ki vo apne-se 4-5 saal bade bacho ke barabar lgti thi. To har koi use milta aur jab uski maa se baat karta uske bare m toye jarur bolta “are behen ladki paraya dhan h kab badi ho jati h pta kahan chalta h”,” chalo acha h jitna jaldi jimedari se chutkara mile utna accha h” , ”paraya dhan h! jara sabhal kar rakhna”, ”ladki h jayada sir par mat chadhana” or na jane kitni baatein.

Kher vo ye sab se ladti jagadti aage to nikali hi sath m jo uski lambai thi vo ab uski dushman bane ki bjaye dost banne lgi thi . lambai vaise to uski average si hi thi par bachapan m vo thodi jayada hi badi lgti thi umar jo chotti thi. Sabse acchi baat pta h kya thi usne aapne dada ji ki soch badl di thi ab uske dada ji use ye nhi bolte the ki ab bas shadi karle vo ye bolte the ki ab bas tu apne pairon pr khadi ho ja. Hai na kitna acha. Lekin issme Struggle kahan h ? Struggle uske bachpan m nhi tha asli struggle to ab tha jab use haar kadam par iss baat ka ehsaas diilaya jane lga tha ki vo ek ladki h, jab vo apni hadden khud taye karne lgi thi kyunki use aisa lgne lga tha ki ye jaruri h kyunki vo ek ladki h, jab vo duniya ke samne apne ghutne tekna chahti thi kyunki vo ek ladki h. Vo jayada weight nhi utha sakti, vo accha drive nhi kar sakti, vo sirf silai kadhai hi kare to accha h kyunki vo technical field m kam karti achi nhi lagti, use technical field m jane ke liye khud ko prove karna hoga kyunki vo ek ladki h, use salary kam milegi or usi kam ke liye ek ladke ko jayada, kyun? Kyunki vo ek ladki h.

Yaar sab sehti rehegi vo uff tak nhi karegi kyun?  kyunki vo ek ladki h. koi aankh utha kar dekhe to nazare vo zukayegi nhi to duniya uski galti btayegi kyun? kyunki vo ek ladki h. koi use Gandi nazar se dekhe to vo ye baat ghar pr btane se bhi ghabrayegi kyun kyunki vo ladki h or ghar vale use uski suraksha ka hawala dete hue use ghar m kaid kar denge. Are adhe se jayada opportunities ko gharwale uske mna kr dete h aur vo unke banaye niyam bhi to tod nhi sakti kyun kyunki vo ek ladki h.

“Kitna sahi h na yaar ladki bano sympathy gain karo”. Ye tag line isse to tum kabhi nhi bach sakti fir chahe tum sympathy lo ya na lo kyun? Kyunki tum ek ladki ho. Lakh koshi karlo tum kabhi independent nhi ho sakti kyun? kyunki tum ek ladki ho.

Lekin sabse acchi baat pta h kya h? vo itna sab hone ke baad bhi duniyavalon ke samne dat kar kadi ho jati h aur  khadi rhti h.  vo aise muskurati h jaise use inse kuch farq hi nhi padta. Lekin vo tab har jati h jab use apne support system apne parivar apne maa-papa se hi ladna pade. Jab unki umar ke sath sath unki soch bhi badl jati h aur vo bhi usi duniya ki soch m se ek ho jati h. tab tab vo ldki buri tarah tut jati h har jati kyunki ab use samjhne vala koi nhi h. ab jo uski ladai h na vo uske apno ke khlaf h jahan dono taraf sirf aur sirf uski haar h. kyun? kyunki shayad vo ek ladki h isliye. Use apne sapno aur apno ke beech m chunna padta h. uske sapno ko chun kar bhi uski haar h aur uske apno  ko chun kar bhi.

1 thought on “KYUNKI VO EK LADKI H”

  1. After research study a few of the blog posts on your website currently, and also I absolutely like your means of blog writing. I bookmarked it to my book mark site checklist and will be inspecting back quickly. Pls look into my website too and let me know what you think. Phedra Hobie Dulcy

Leave a Reply

Your email address will not be published.